Freelancing Kya Hai ?| Freelancing Se Paise Kaise Kamaye ?
Freelancing Kya Hai?
Online paise kamane ke bahut se tarike hai lekin kya koi aisa tarika hai jisse hum quickly internet se paisa kama sake, to wo hai freelancing. Freelancing ek aisa trusted method hai jisse aap ghar baithe hi asani se online project work karke paise kama sakte hai. Freelancing ka matlab hota hai apni skill ko bechna. Aap ke paas bhi koi aysi skill hai to aap bhi freelancing karke paise kama sakte hai. Already bahut se log freelancing kar rahe hai.
Freelancing me aap ek time me kai alag alag company, organization, people ke saath alag alag assignment lete hai aur unhe time pe deliver karte hai. Is process ko Freelancing kehte hai aur is tarah ke work karne wale ko Freelancer kehte hai.
Freelancing Kyon Karna Chahiye?
Iska answer hai Easy & Fast Money. Kyonki is kaam pe paise hai aur paiso ki jaroorat to sabhi ko hoti hai. Lekin ek aur wajah hai is kaam ko karne ki aur wah hai professionalism. Jab aap kisi kaam ko baar baar karte hai wah bhi organize level par tab aapke andar confidence aa jata hai aur aap us kaam me professional ban jate hai.Freelancing ki bahut saare benefits hai jaise apni pasnd ki jagah se work karna, work ka time aur price khud decide jarna. Aap Freelancer me khud apna Boss hai.
Freelacer Kaise Bane
Select Skill
Sabse pehle aap ek field select kar le jisme aapko achhi Knowledge ho ya phir aapne pehle bhi is field me koi project kiya ho jisse aapko koi bhi naya project karne me jyada problem nahi hogi.Select Amount
Apna field select karne ke baad usme aane waale projects aur unke price ki list bana le. Aap kisi bhi project ki price ke liye kisi dusre freelacer ke price bhi dekh sakte hai aur phir aap apna price decide kar sakte hai.Portfolio Banaye
Isme aapko apne Project jo ki aap ne ab tak kiye hai unki ek list banani hogi jo aapko apni profile me bharni hai. Aapne apne field me koi projects kiye hai to unhe jaroor likhe. Unke review ko dekhkar hi koi company aapko apne projects ke liye hire karegi.Aapke paas bhi koi talent hai to aap bhi Freelancer ban sakte hai. Uske liye aapko kisi bhi Freelancer Sites par Sign Up karna hoga jisse aap ek registered Freelancer ban jaayenge. Achhey projects ke liye aapko 2-3 Website par Sign Up karna Chahiye.
Jab kisi Freelancer Website par Sign Up kar loge to aapko sabse pehle apna profile complete karna hoga. Jisse aapko us profile ke related projects asani se mil jaayenge ya fir aap search me jaakar bhi koi bhi field se related Projects search kar sakte hai.
Successful Freelancer ka matalab hota hai kisi ek field ka Expart. Agar aapko kai field me kaam karna hai to pehle kisi ek field me apna Brand Value bana le. Iske baad chahe sabhi field me kaam kare. Successful Freelacer banne ke liye Deadline ke andar kaam ki delivery deni hogi.
Freelancer Sites Kya hai
Freelancing Sites ek aisa Platform Provide karti hai jahan par recruiter aur freelancer ek dusre ko dhund sake.Freelancing ke kaam ko karne ke liye bahut saari websites hai jo ki kisi ek kaam ke liye jaani jaati hai. Jaise Content Writers ke liye alag Site aur Graphics Designers ke liye alg Sites aur kuch Website sabhi chije Provide karati hai.
Internet par hajaro Freelancing Websites Available hai lekin hum kuch sites ke baare me aapko bata rahe hai jo ki sabse jyada popular aur sabse jyada istemal ki jaane waali Websites hai. Jisse aap Starting kar sake.
1. Upwork
2. Freelancer
3. Fiverr
4. 99Designs
5. Content Mart
6. Guru
7. Truelancer
8. Odesk
9. iFreelance
10. PeoplePerHour
Service Of Freelancing
Freelancing bahut tarah ki ho sakti hai jaise
1. Coding
2. Data Entry
3. Animation
4. Video Editing
5. Programming
6. Web Designing
7. Logo Designing
8. Digital Marketing
9. Web Development
10. Writing & Translate
11. Graphics Designing
12. Accounting Services
13. Content Optimizing (SEO)
14. Mobile App Development
15. Content Writing (English | Hindi) E.T.C
2. Data Entry
3. Animation
4. Video Editing
5. Programming
6. Web Designing
7. Logo Designing
8. Digital Marketing
9. Web Development
10. Writing & Translate
11. Graphics Designing
12. Accounting Services
13. Content Optimizing (SEO)
14. Mobile App Development
15. Content Writing (English | Hindi) E.T.C
Aap jis chij ke baare me achhey se jaante hai Us field me Freelancing kar sakte hai.
Freelancing Se Paise Kaise Kamaye
Freelancing me Sign Up karne ke baad aapke saamne bahut se project mil jaayenge jisko aap complete karke paisa kama sakte hai.Freelancing me payment jyada milta hai. Kisi bhi kaam ka Cost Delivery Time par Depend karta hai. Freelancing me achha paisa kamane ke liye Deadline ke andar kaam ki Delivery deni hoti hai.
Post a Comment