TikTok Se Paise Kaise Kamaye? | Make Money From TikTok in Hindi
TikTok Kya Hai?
TikTok ek short vedios application hai, jo ki Android aur IOS platform ke liye aata hai. Jahan par aap lip-sink music vedios, dialogues, comedy vedios aur isi tarah ke bahut saare category ke videos 3 se 60 seconds tak ke small video bana karke upload kar sakte hai.
TikTok Se Paise Kamane Ke Tarike
1. LIVE STREAMING (GO LIVE)
TikTok pe live streaming Karke paise kamane ke liye aapke paas minimum 1000 followers hone chahiye tabhi aap is Featured ka faayda utha paayenge, aur live streaming kar paayenge.
Jab aap live streaming karte hai aur aapke followers ko aapke vedio pasand aate hai tab aapke fans aapko emoji send karte hai ye emoji aapke fans tiktok se buy karte hai or wo ise apne tiktok wallet me rakhte hai. har emoji ke liye aapko kuch coin milte hai, ye coins tiktok creator ke tiktok wallet me jama ho jaate hai, jahan se wah apne bank account me bhej sakta hai. Ek tiktok creator ek din me maximum $1000 tak redeem kar sakta hai.
2. SPONSERSHIP
Apne business ya brand ka promotion karne ke liye aapne bhi bahut se youtube channel par aise brand ke promotion video dekhe honge. Isi tarah brands ab tiktok ke top creator's ke saath bhi deal kar rahi hai.
Youtube ki tarah yahan par bhi aap sponsership se paise kama sakte hai. Jaise hi aapke bahut jyada fan's ho jaayenge aise me brand aur companies aapse sponsership ke liye contact karenge aur unke product ka promotion karne ke liye paise dete hain. Product ka promotion karne ke liye aapko bas ek tiktok video banani hai, jisme us product ko dikhana hai. Apne video me kisi bhi company ke product ko promote karte samay aapko is tarike se dikhana hota hai ki aap un product ko jabardasti promote nahi kar rahe hai balki wo product achha hai isliye uske baare me bata rahe hai aapke followers ko aisa lagna chahiye.
3. CROSS PROMOTION(INCREASE YOUR SOCIAL MEDIA FOLLOWERS)
Jab aap tiktok app par famous ho jaate hai tab aap apne instagram, facebook page, youtube channel jaise dusre social media platforms ko promote kar sakte hai. Aise me aap apne sabhi social media followers ko badha sakte hai. Ise hi cross promotion kehte hai.
Isse aapko apni online pehchan banane me help hogi. Uske baad aapko milne wali sponsership bhi badhne lagegi, aur aap alag-alag platform par apne merchandise ka bhi promotion kar paayenge. Jisse aapki brand pehchan hone me asani hogi.
Aap tiktok se to kamate hi ho, saath-saath aapke facebook ya youtube channel ki earning bhi kaafi badh jaati hai. Iske alawa iska fayda ye bhi hai ki maan lijiye future me tiktok ko phir se ban kar diya jaaye ya kisi kaaran se yah band ho jaaye to aapke fans aur followers aapke social media se jude rahenge.
4. MERCHANDISE(MAKE YOUR OWN BRAND)
Bahut se user's jinke paas tiktok ke wajah se laakho followers hai. Agar aapke paas bhi aise followers hai to aap apne tiktok profile ko ek brand bana sakte hai aur khud ke product sell karke paise kama sakte hai.
Tiktok se paise kamane ke liye yah sabse best aur long-time earning tarike me se ek hai. Abhi tak jitne bhi popular blogger, youtuber, facebook star hai sabhi ke income source ka ek aham hissa hai merchandise.
Aapke tiktok followers yahan par ads dekhne nahi aate hai. Isliye aapko aise video upload karna hoga jisme aap apne merchandise ko promote bhi kare lekin jyada attractive tarike se.
Aap yahan par kuch samay dekar ek achha marketer ban sakte hai aur ek achha brand tayyar kar sakte hai. Bas aapko isme kuch achhe chijo ko apne brand me apnana hai jo ke thode unique ho aur jise ki aaj-kal ke log jyada pasand karte ho istemaal karne ke liye.
Example:- t-shirt, bands etc.
Iske alawa bhi aap apni sales ko badhane ke liye discount aur deals ka istemal kar sakte hai. Jisse jyada log aapke product ko kharide aur aapko usse achhi kamayi ho sake.
إرسال تعليق