Facebook Se Paise Kaise Kamaye 2021?
Facebook Kya hai?
Facebook Se Paise Kamane Ke Tarike
1. Facebook Page
Facebook Page se paise kamane ke liye aapko apna Facebook Page Create karna hoga. Jisme minimum 10,000 followers hone chahiye.
Facebook Page se paise kamane ke tarike
1. Sell your own products
2. Sponsored Post
3. Advertisement
4. Affiliate Marketing
5. Facebook Watch
2. Facebook Group
Facebook Group se paise kamane ke liye aapko apna Facebook Group Create karna hoga. Jisme aapko minimum 10,000 Active member add karne honge aur apne group ke member ko hamesha engage rakhna hoga.
Facebook Group se paise kamane ke tarike
1. Sell your own Products
2. Sponsored Post
3. Advertisement
4. Affiliate Marketing
5. Paid Surveys
3. Marketplace (Sell your own Product)
Facebook ne ek naya Features Launch kiya hai Jiska name Marketplace hai. Agar aap kisi chij ka Business karte hai to aap apne Product ko sell karke apne Business ko Facebook ke jariye faila sakte hai.
Aap apne jis bhi Product ko sell karna chahte hai uska photo Marketplace par upload kare aur description me Us Product ki details aur price likh de. Jo bhi person us Product ko buy karna chahega to wah aapse sidha Contact kar lega. Is tarah se aap khud ke Product ko sell karke bhi paisa kama sakte hai.
4. Facebook Watch
Facebook ne youtube ki tarah Facebook Creator ke liye Facebook Watch name ka ek Video Sharing Platform launch kia hai. Jisme aap Video Upload Karke aur Video ko Monetize karke paise kama sakte hai.
Monetization Condition
1. Facebook page par 10,000 followers hone chahiye.
2. Facebook page par upload video minimum 3 minutes ke hone chahiye.
3. Video par 30,000 , One-minute view hone chahiye pichlay 60 day's me.
Youtube ki tarah Facebook bhi video se hone wali income ka 45% apne paas rakhta hai aur 55% aapko deta hai.
Facebook par youtube se jyada income hoti hai kyonki youtube par jab koi ads show karta hai to 5 second baad skip ka option deta hai but facebook me skip ka option nahi hai. Agar facebook lar aapka koi video dekhta hai to usko 90 second ka ads dekhna padega.
5. Affiliate Marketing
Affiliate marketing se paise kamane ke liye aapko kisi company ka affiliate program se judna hoga. Uske baad aap kisi bhi product(beauty, fashion, electronics e.t.c) ko select kar le jo aapko lagta hai ki yah jyada se jyada user ko pasand aayega, us product ka affiliate link generate kare aur phir product ka affiliate link apne Facebook Page ya Group par post karde.
Jiske baad jab bhi koi Us product ko aapke link se jaakar kharidega to aapko uske price ka kuch% commission milege.
6. Sponsership
Sabhi Brand yahi chahti hai ki unke product ki information logo ke paas jaldi se jaldi pahunch jaye. Isliye Brand bhi apne Products Ko Promote karne ke liye online marketing ka sahara lete hai. Facebook par apne Products ko promote karwane ke liye Brands Kisi aise person ko chunte hai, jiske jyada followers hote hai. Brands aise logo se apne Products ko Sponsor karwate hai aur badle me unhe paise dete hai.
Agar aapke Facebook (Page/Group) par achhe khase followers hai to aap bhi apne Facebook account ki help se kisi Brand ko Sponsor kar sakte hai aur badle me paise kama sakte hai. Sponsership ke liye aapko kisi bhi Sponsership website par registration karana hota hai uske baad aapke Facebook (Page/Group) ke liye sponsership mil jata hai.
7. Sell Photos
Bahut se logo ko Photography karne ka shauk hota hai. agar aap bhi Photography karne ka shauk rakhte hai, aur aapke paas kai achhi Photos ka Collection hai to aap Facebook se paise kama sakte hai.
Aap un Photos ko Facebook (Page/Group) me upload karke Advertise kar sakte hai. Yahan aapko ek baat ka dhyan rakhna hoga ki jab bhi aap koi Photo upload karenge tab us Photo me apna name ya koi watermark jaroor use kare. Jisse koi aur person aapke Photos ko use na kar sake. Photo ko upload karte time Description me apna name aur contact details jaroor likhe. jisse Photo ko buy karne wala aapse Contact kar sake.
8. Link Shortening
Internet par average 90% websites Advertising se paise kamate hai. Facebook ke jariye aap bhi Advertising se paise kama sakte hai bina kisi website ya content banaye. Iske liye aapko Link Shortening Website par account banana hoga. Aaj ke daur me internet par bahut saare link shortening website available hai. Inpar account banane ke baad aap aisa link dhunde jo interesting ho ya jise padhne me har koi interested ho. Jaise koi news, funny video, jokes ya viral vedio ke link ko Link Shortening service ke jariye Unique link me change karke Facebook (Page/Group) par share kar de. Ab jab bhi koi us link par click karega to Original lage par jaane se pehle use koi Ad dikhai degi jisse aapko paise milenge.
إرسال تعليق