Image Sell Karke Paise Kaise Kamaye?
Duniya me Bahut se logo ko Photography karne ka shauk hota hai. agar aap bhi Photography karne ka shauk rakhte hai ya aap ek achhe photographer ho to isme aap apna career bahut easily bana sakte ho. Online Photo sell karke aap apne passion ko career me badal sakte hai.
Image sell karke paise kamane ke liye aapko professional photographer banna hoga kyon ki humara image jitne achhe honge utna hi achha hume paisa diya jaayega.
Professional Photographer Kaise Bane
1. Online photography course kare jisse aap learn kar paye ki photo kab aur kaise click karna hai aur kis tarah ke photos ke liye kon sa camera, lens use karna hai.
2. Agar aap professional photographer banna chahte hai to iske liye aapko photography equipment me invest karna hoga jaise ki DSLR Camera.
3. Aap kisi marketplace ya online websites par apni click ki hui photo sell karna chahte hai to iske liye aap usse related sabhi terms & conditions ko jaroor padhe jisse aap sahi palace par photo ko sell kar sake.
4. Jo image aap click kar rahe hai usse jude copyright hona chahiye kyonki aapki photo ko koi galat use na kar sake. Iske liye aap image copyright laws ki help le.
Best Photo Selling Websites
Photo sell karne ke liye waise to internet pe bahut se Photo Selling Websites hai, lekin hum kuch sites ke baare me aapko bata rahe hai jo ki sabse jyada popular aur Best hai.
1. Adobe Stock Image
Adobe stock top image marketplace hai jahan par high resolution ki royality free images buy aur sell kiye jaate hai. Yahan par 3D images, 4K videos aur Hd template bhi available hai. Duniya me jitne top photographer hai wo apni image isi website par sell karte hai. Yah website duniya me top photographer ki pehli pasand hai. Duniya me jitne bhi bade business hai jab bhi unhe image ki jarurat hoti hai to we log isi website se buy karte hai.
2. Shutter Stock
Agar aap ek quality photographer hai to aapke liye shutterstock best website hai. Shutterstock bahut hi popular photography site hai. Is website par daily 200k+ images upload kiye jaate hai. abhi tak is site par 300 Million+ photos upload ho chuke hai.
3. Image Bazaar
Aap is website par apne image ko upload karke 70% to 80% commission paa sakte hai. Yah India ki sabse badi stock image collection site hai. Is site par daily lakho image upload kiye jaate hai.
4. Fotolia
Aap is website par apne image ko upload karke aasani se 20% to 70% commission paa sakte hai. Is website par 95 Million+ Photos upload ho chuke hai.
5. 123RF
Aap is website par apne image ko upload karke aasani se 30% to 60% commission paa sakte hai. Is website par daily 50,000+ images upload kiye jate hai abhi tak is site par 85 Million+ photos upload ho chuke hai.
6. Can Stock Photo
Is website par daily 35,000+ high quality image upload hote hai. is website par ek saath 100 image upload kar sakte hai aur aapko iske liye categories nahi banani hai kyo ki ye website automatically image ke keywords ko read karke unko different categories me daal deta hai.
Photo sell karke paise kaise kamaye
1. Photo sell karne wali website par register kare.
2. Fir un website par aapko 10 best photos upload karna hoga.
3. Upload ki hui photo website ke policy ke hisab se hogi to aapko approval mil jaayega.
4. Uske baad aap apni photo upload karke sell kar sakte hai.
5. Photo sell hone ke baad aap uska paisa paypal or bank account me send kar sakte hai.
Jyadatar Websites aapko 80% commission deti hai aur 20% wah khud rakh leti hai.
Photography Tips
1. Apne photos ko jyada sell karne ke liye DSLR Camera ka use kare kyon ki high quality image log jyada pasand karte hai.
2. Apne photo ko better banane ke liye photo editing software ka use jarur kare. Photo editing bahut important hai.
3. Aise photo Capture kare jo internet par jyada search kiye jaate hai iske liye aap AdWords keword planner tool ka use kare.
4. Photo Capture karne ke liye best location choose kare.
إرسال تعليق