Telegram Se Paise Kaise Kamaye?
Telegram Kya hai?
Telegram whatsapp ke jaisa hi ek messenger application hai. Telegram me whatsapp se jyada features available hai. Yah cloud based messaging service provide karta hai. Telegram par aap khud ka channel aur group bhi bana sakte hai.
Telegram se paise kamane ke liye aapko apna ek telegram channel banana hoga. Aap kisi bhi topic par telegram channel bana sakte hai jo users ko pasand aaye jaise Tech, Earn Money Online, News, Entertainment etc. Channel banane ke baad aap apne channel ka link Social media accounts par share kare jisse aapke channel ko jyada se jyada log subscribe kare. Jab aapke telegram channel par bahut saare Subscriber ho jaayenge tb aap telegram se income generate kar sakte hai.
Telegram Se Paise Kamane Ke Tarike
Waise to Telegram se paise kamane ke bahut se tarike hai lekin hum kuch tarike ke baare me aapko bata rahe hai jo ki sabse Easy aur Best hai.
1. Affiliate Marketing
Abhi ke time me online earning me sabse popular aur easy way hai affiliate marketing. Affiliate marketing se paise kamane ke liye aapko kisi company ka affiliate program se judna hoga. Uske baad aap kisi bhi product(beauty, fashion, electronics e.t.c) ko select kar le jo aapko lagta hai ki yah jyada se jyada user ko pasand aayega, us product ka affiliate link generate kare aur phir product ka affiliate link apne Telegram Channel par post karde.
Jiske baad jab bhi koi Us product ko aapke link se jaakar kharidega to aapko uske price ka kuch% commission milege.
2. Link Shortening
Aapke Telegram Channel par bahut jyada Subscriber hai to Aap Link Shortening se bhi Paise kama sakte hai. Internet par average 90% websites Advertising se paise kamate hai. Telegram ke jariye aap bhi Advertising se paise kama sakte hai bina kisi website ya content banaye. Iske liye aapko Link Shortening Website par account banana hoga. Aaj ke daur me internet par bahut saare link shortening website available hai. Inpar account banane ke baad aap aisa link dhunde jo interesting ho ya jise padhne me har koi interested ho. Jaise koi news, funny video, jokes ya viral vedio ke link ko Link Shortening service ke jariye Unique link me change karke Telegram Channel par share kar de. Ab jab bhi koi us link par click karega to Original page par jaane se pehle use koi Ad dikhai degi jisse aapko paise milenge.
3. Paid Promotion
Agar aapke telegram channel par Good Number Of Subscribers hai to aap dusro ke Youtube Channel, Facebook page ya website ko promote kar sakte hai aur unse promote karne ke badle me paise le sakte hai. Is tarah se aap paid Promotion ke jariye bhi paise kama sakte hai.
4. Sell Your Own Products
Agar aap kisi chij ka Business karte hai to aap apne Product ko sell karke apne Business ko Telegram ke jariye faila sakte hai.
Aap apne jis bhi Product ko sell karna chahte hai uska photo, Us Product ki details aur price Telegram Channel par upload kare. Jo bhi person us Product ko buy karna chahega to wah aapse sidha Contact kar lega. Is tarah se aap khud ke Product ko sell karke bhi paisa kama sakte hai.
5. Cross Promotion
Jab aap telegram channel par popular ho jaate hai tab aap apne website, facebook page, youtube channel jaise dusre social media platforms ko promote kar sakte hai. Aise me aap apne sabhi social media followers ko badha sakte hai. Ise hi cross promotion kehte hai. Jisse aapke website, facebook ya youtube channel ki earning bhi kaafi badh jaati hai.
6. Sponsership
Sabhi Brand yahi chahti hai ki unke product ki information logo ke paas jaldi se jaldi pahunch jaye. Isliye Brand bhi apne Products Ko Promote karne ke liye online marketing ka sahara lete hai. Telegram par apne Products ko promote karwane ke liye Brands Kisi aise person ko chunte hai, jiske jyada Subscriber hote hai. Brands aise logo se apne Products ko Sponsor karwate hai aur badle me unhe paise dete hai.
Agar aapke Telegram par achhe khase Subscriber hai to aap bhi apne Twitter account ki help se kisi Brand ko Sponsor kar sakte hai aur badle me paise kama sakte hai. Sponsership ke liye aapko kisi bhi Sponsership website par registration karana hota hai uske baad aapke Telegram Channel ke liye sponsership mil jata hai.
7. Promote Other Telegram Channel
Jab aapke paas Good Number Of Subscriber ho jaye to aap dusro ke telegram channel ko Promote karke unse paise le sakte hai. Telegram par bahut se aise Users hote hai jo naye naye hote hai aur unhe instant Subscriber chahiye hote hai. To aap unka Channel Promote karke paise kama sakte hai.
Nice information
ردحذفAlso Read
How to Delete Telegram Account
إرسال تعليق