Twitter Se Paise Kaise Kamaye?
Twitter Kya hai?
Twitter ek Social Networking the hai. Twitter me average 500 Million se bhi jyada Active Users hai. Twitter ko micro blogging ke name se bhi jaana jaata hai. Agar aapke twitter par achhe khase followers hai to aap bhi Twitter account ki help se paise kama sakte hai.
Twitter Se Paise Kamane Ke tarike
1. Link Shortening
Aapke Twitter par bahut jyada followers hai to Aap Link Shortening se bhi Paise kama sakte hai. Internet par average 90% websites Advertising se paise kamate hai. Twitter ke jariye aap bhi Advertising se paise kama sakte hai bina kisi website ya content banaye. Iske liye aapko Link Shortening Website par account banana hoga. Aaj ke daur me internet par bahut saare link shortening website available hai. Inpar account banane ke baad aap aisa link dhunde jo interesting ho ya jise padhne me har koi interested ho. Jaise koi news, funny video, jokes ya viral vedio ke link ko Link Shortening service ke jariye Unique link me change karke Twitter par share kar de. Ab jab bhi koi us link par click karega to Original lage par jaane se pehle use koi Ad dikhai degi jisse aapko paise milenge.
2. Affiliate Marketing
Affiliate marketing se paise kamane ke liye aapko kisi company ka affiliate program se judna hoga. Uske baad aap kisi bhi product(beauty, fashion, electronics e.t.c) ko select kar le jo aapko lagta hai ki yah jyada se jyada user ko pasand aayega, us product ka affiliate link generate kare aur phir product ka affiliate link apne Twitter account par post karde.
Jiske baad jab bhi koi Us product ko aapke link se jaakar kharidega to aapko uske price ka kuch% commission milege.
3. Sponsorship
Sabhi Brand yahi chahti hai ki unke product ki information logo ke paas jaldi se jaldi pahunch jaye. Isliye Brand bhi apne Products Ko Promote karne ke liye online marketing ka sahara lete hai. Twitter par apne Products ko promote karwane ke liye Brands Kisi aise person ko chunte hai, jiske jyada followers hote hai. Brands aise logo se apne Products ko Sponsor karwate hai aur badle me unhe paise dete hai.
Agar aapke Twitter par achhe khase followers hai to aap bhi apne Twitter account ki help se kisi Brand ko Sponsor kar sakte hai aur badle me paise kama sakte hai. Sponsership ke liye aapko kisi bhi Sponsership website par registration karana hota hai uske baad aapke Twitter ke liye sponsership mil jata hai.
4. Sale Your Own Products
Agar aap kisi chij ka Business karte hai to aap apne Product ko sell karke apne Business ko Twitter ke jariye faila sakte hai.
Aap apne jis bhi Product ko sell karna chahte hai uska photo Twitter par upload kare aur description me Us Product ki details aur price likh de. Jo bhi person us Product ko buy karna chahega to wah aapse sidha Contact kar lega. Is tarah se aap khud ke Product ko sell karke bhi paisa kama sakte hai.
5. Sell Photos
Bahut se logo ko Photography karne ka shauk hota hai. agar aap bhi Photography karne ka shauk rakhte hai, aur aapke paas kai achhi Photos ka Collection hai to aap Twitter se paise kama sakte hai.
Aap un Photos ko Twitter Account me upload karke Advertise kar sakte hai. Yahan aapko ek baat ka dhyan rakhna hoga ki jab bhi aap koi Photo upload karenge tab us Photo me apna name ya koi watermark jaroor use kare. Jisse koi aur person aapke Photos ko use na kar sake. Photo ko upload karte time Description me apna name aur contact details jaroor likhe. jisse Photo ko buy karne wala aapse Contact kar sake.
إرسال تعليق