Dropshipping Kya Hai? | Dropshipping Se Paise Kaise Kamaye?
Dropshipping Kya Hai?
Kisi Product ko bina kharide use online sell kar profit kamana Dropshipping kehlata hai. Agar aap bina invest kiye online Business karna chahte hai to aap Dropshipping kar sakte hai.
How To Start Dropshipping Business
Dropshipping Business do tarike se Start kar sakte hai.
1. Khud ka E-commerce Website bana kar
Agar aap E-commerce business karne me interested hai to aap dropshipping business start kar sakte hai. Dropshipping Start karne se pehle hume achhe seller se contact karna hoga jo ki Product ko time pe deliver kare aur out of stock hone par hume inform karde. Uske baad hume khud ka E-commerce store Create karna hoga product ko sell karne ke liye.
Dropshipping me hume kisi Seller ke Products ko apna website (store) me apna margin add karke sell ke liye list kar dete hai, Uske baad us Product ka Order milne par hum Product aur customer details supplier ko send kar hai, fir supplier us product ko pack kar aapke us customer tak deliver kar deta hai.
Dropshipping ek perfect online business model hai, kyonki isme hume un sabhi process (Stocks, Packaging, Shipping) jo ki ek E-commerce business ke liye karna padta hai wo sab karne ki jaroorat nahi padti.
2. Kisi E-commerce Website Par Seller bankar
Sabse pehle hume kisi Popular E-commerce Website Par apna ek Seller Account open karna hoga jisse hum apne Product ko us website par list kar sake.
Seller Account open karne ke baad hamare paas do option hai jahan se hum product list kar sakte hai apne Seller Account par.
1. Wholesaler se contact kare aur wahan se Product ka price decide karke us product ka details aur photo apne Seller Account par upload kare.
Uske baad us Product ka Order milne par hume us Product aur customer details wholesaler ko send kar dete hai, fir wholesaler us product ko pack kar aapke us customer tak deliver kar deta hai.
2. Alag-alag Online E-commerce par Kisi product ke baare me dekhe aur usme se sabse sasta product select karke uska image download kare aur dusre E-commerce me apne seller account se upload karde jahan par uska price jyada hai. Image upload karne ke baad hume us Product ka price aur description likhna hoga. Jis price par humne product ko dekha hai usse thoda jyada price set karna hoga Jisse hume benefit mil sake.
Jab bhi koi order milega to ek site se customer ka details lena hoga aur dusre sites se Product send kar dena hoga. Packing karte time hume regular packing select nahi karna hai, iske liye hume gift pack ya Koi or option select karna hai.
Benefits of Dropshipping
1. Product ko store karke rakhne ki jarurat nahi hoti.
2. Products ko pack & costumer tak deliver karne ki jarurt nahi padti.
3.Dropshipping business ko aap kahi se bhi chala sakte hai. Bas aapke pas ek PC ya Laptop or internet connection hona chahiye.
4. Isme zero money investment karna hota hai ya bahut kam.
أزال المؤلف هذا التعليق.
ردحذفNice blog. I loved it. Thanks for giving me such an awesome information about drop shipping. I am big fan of you. I am waiting for your next blog. Once again thnks.
ردحذفإرسال تعليق