Quora kya hai? quora se paise kaise kamaye?
Quora Kya hai?
Quora ek Question Answer website hai iske saath hi yah ek social media platform bhi hai. Jahan par koi bhi topic se related question puch sakta hai aur koi bhi kisi bhi question ka answer de sakta hai. Quora par aapko question ka answer easily mil jaate hai. Quora par average 500 Million monthly traffic hai. Quora internet ki bahut popular website hai. Quora question answer ke liye best platform hai. Jahan par hum apne knowledge ko share karte hai aur jo Jankari humko nhi pata hoti ho quora hi help se le sakte hai.
Quora chalane ke liye aapko quora par login karna hoga. Agar aap yahan par questions puchna chahte hai aur answer dena chahte hai to aapko apne gmail account ya facebook se login karna hoga. Login karne ke baad aapka Quora account chalu ho jaayega. Isme aapko apni ek profile photo lagani hai.
Benefits of Quora
1. Increase website (Blog) traffic
Agar aap blogging karte hai aur aapka koi blog hai to aap quora par question ka answer dekar ya question puchkar apne blog ka traffic increase kar sakte hai.
Quora par jab koi question puchta hai aur aapka blog usi topic se related hai to aap us question ka best answer dekar apne blog ka link wahan par add kar de. Jab bhi koi aapke blog ke link par click karega to aapke blog par pahunch jayega jisse usko question ka answer mil jayega aur aapko aapke blog par traffic.
2. Affiliate Marketing
Quora se affiliate marketing ke jariye bhi paise kama sakte hai. Bahut sare log quora par product ke baare me bhi question puchte hai to aise me aap us Product ke baare me pure details me bataye aur saath me us Product ki affiliate link bhi de. Jisse usko question ka answer bhi mil jaayege aur chahe to wah us Product ko aapke diye hue affiliate link par click karke buy bhi kar sakta hai.
3. Increase youtube traffic
Agar aap Youtuber hai aur aapka koi youtube channel hai to aap quora par question ka answer dekar ya question puchkar apne blog ka traffic increase kar sakte hai.
Quora par jab koi question puchta hai aur aapka channel usi topic se related hai to aap us question ka thoda sa answer dekar apne youtube video ka link wahan par add kar de. Jab bhi koi aapke video ke link par click karega to aapke youtube channel par pahunch jayega jisse usko question ka answer mil jayega aur aapko aapke youtube channel par traffic.
Quora Partner program kya hai?
Quora partner program quora ke dwara launch kiya gaya ek program hai. Quora Partner Program se koi bhi user question puch kar paise kama sakta hai aur logo ki help bhi kar sakta hai. Quora partner program ke liye quora khud invite karta hai. Quora partner program me shaamil hone ke aapko bahut saare unique questions puchna hai aur questions ka answer dena hoga.jab aap quora partner program me jud jaate hai to aapke dwara puche gaye question me quora ads show karta hai, isi ads ke liye aapko paise milte hai.
Quora Partner Program ke liye invitation kaise paaye
Quora partner program ke liye achha sa profile banaye. Apne profile me likhe ki aapko kis-kis chiz ke baare me knowledge hai. Uske baad aap bahut saare unique question puchhe aur bahut sare questions ka answer de. Isse aapke profile par jyada views aayenge. Aur qoura par Active user bane rahe, quora ke saath regular kaam kare. kisi bhi tarah ki privacy policy rules ko na tode. Agar aap kuch dino tak in sabhi rules ko follow karenge to quora aapko bhi quora partner program ke liye invite karega.
إرسال تعليق