Pinterest Kya hai? Pinterest Se Paise Kaise Kamaye?
Pinterest Kya hai?
Pinterest Facebook ke jaisa hi ek social media platform hai. Jahan par aap facebook ki tarah kisi bhi user ki image ko Like, Comments aur Share kar sakte hai. Pinterest ko image sharing website ke name se bhi jaana jaata hai. Pinterest ek aisa platform hai jahan par aap apne pasand ke image ko board banaka pin kar sakte hai. Pinterest par koi bhi user account banakar image aur video share kar sakta hai.
Pinterest chalane ke liye aapko pinterest par login karna hoga. Aap apne gmail account ya facebook se login kar sakte hai. Login karne ke baad aapka pinterest account chalu ho jaayega.
Pinterest Se Paise Kaise Kamaye
1. Affiliate Marketing
Abhi ke time me online earning me sabse popular aur easy way hai affiliate marketing. Affiliate marketing se paise kamane ke liye aapko kisi company ka affiliate program se judna hoga. Uske baad aap kisi bhi product(beauty, fashion, electronics e.t.c) ko select kar le jo aapko lagta hai ki yah jyada se jyada user ko pasand aayega, us product ka affiliate link generate kare aur phir Product ka image aur description me product ka affiliate link upload karke pinterest par post karde.
Jiske baad jab bhi koi Us product ko aapke link se jaakar kharidega to aapko uske price ka kuch% commission milege.
2. Sponsership
Pinterest se sponsership ke jariye bhi paise kama sakte hai. Agar aapke Pinterest par achhe khase followers hai to aap bhi apne pinterest account ki help se kisi Brand ko Sponsor kar sakte hai aur badle me paise kama sakte hai. Sponsership ke liye aapko kisi bhi Sponsership website par registration karana hota hai uske baad aapke pinterest account ke liye sponsership mil jata hai.
3. SEO
Pinterest se paise kamane ke liye aapko achha sa profile banana hoga. Profile banane ke baad aapko achhe se SEO (Search Engine Optimization) karna hoga. Jisse aapki post jyada se jyada logo tak pahunch sake. Apni post ko jyada se jyada logo tak pahunchane ke liye aapko photo ke description me we sabhi keyword add karna hai jinhe log jyada se jyada search karte hai jisse jab bhi koi user pinterest par kuch search karega aur aap wah keyword description me add kiye hai to aapki post uske samne aa jayega. Aapki post pe jitne jyada views honge utne jyada aapki earning hogi.
4. Sell Own Products
Agar aap kisi chij ka Business karte hai aur online product sell karte hai to aap apne Product ko pinterest pe sell kar sakte hai. Aap apne jis bhi Product ko sell karna chahte hai uska photo upload kare aur description me Us Product ki link. Jo bhi person us Product ko buy karna chahega to wah aapke diye link se aapke website par pahunch jayega. Is tarah se aap khud ke Product ko sell karke bhi paisa kama sakte hai.
5. Website (Blog)
Agar aap blogging karte hai aur aapka koi blog hai to aap pinterest par apne blog se related image share karke apne blog ka traffic increase kar sakte hai. Aapko apne blog se related image aur discription me blog ka link add karke pinterest par upload kar dena hai. jab bhi koi us link par click karega to wo directly aapke website par pahunch jayega. Jisse aapki blog ki traffic increase ho jayegi.
Nice blog. You are amazing.. Thnks for giving me such an awesome information..
ردحذفإرسال تعليق